gham-e-ulfat mein doobe the ubharna bhi zaroori tha | ग़म-ए-उल्फ़त में डूबे थे उभरना भी ज़रूरी था

  - Amber Joshi

gham-e-ulfat mein doobe the ubharna bhi zaroori tha
hamein raah-e-mohabbat se guzarna bhi zaroori tha

haqeeqat saamne aayi bahut hairat hui mujh ko
tire chehre se parde ka utarna bhi zaroori tha

hamein manzil ko paana tha tabhi to raah-e-hasti mein
hamein pathreeli raston se guzarna bhi zaroori tha

lutate hi rahe jo kuchh bhi apne paas tha yaaro
ki khushboo ki tarah apna bikhrna bhi zaroori tha

hamein vo bhool baithe hain unhen phir yaad kya karna
unhen raah-e-mohabbat mein bisarna bhi zaroori tha

hamaari zindagi mein haadse hote rahe ambar
unhen sahte hue apna nikhrana bhi zaroori tha

ग़म-ए-उल्फ़त में डूबे थे उभरना भी ज़रूरी था
हमें राह-ए-मोहब्बत से गुज़रना भी ज़रूरी था

हक़ीक़त सामने आई बहुत हैरत हुई मुझ को
तिरे चेहरे से पर्दे का उतरना भी ज़रूरी था

हमें मंज़िल को पाना था तभी तो राह-ए-हस्ती में
हमें पथरीले रस्तों से गुज़रना भी ज़रूरी था

लुटाते ही रहे जो कुछ भी अपने पास था यारो
कि ख़ुशबू की तरह अपना बिखरना भी ज़रूरी था

हमें वो भूल बैठे हैं उन्हें फिर याद क्या करना
उन्हें राह-ए-मोहब्बत में बिसरना भी ज़रूरी था

हमारी ज़िंदगी में हादसे होते रहे 'अंबर'
उन्हें सहते हुए अपना निखरना भी ज़रूरी था

  - Amber Joshi

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amber Joshi

As you were reading Shayari by Amber Joshi

Similar Writers

our suggestion based on Amber Joshi

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari