hairaan bahut taabish-e-husn-deegaraan thi
tujh lab ki sifat laal-e-badkhaan mein kahaan thi
faila kiye darya-e-mohabbat ke kinaare
un jheel si aankhon mein koi cheez nihaan thi
har jashn-e-tarab-naak pe majlis ka asar tha
har udte hue bose mein gard-e-gham-e-jaan thi
ya arz-e-yaqeen par thi bichi barf ki chadar
ya ghere hue phir mujhe duniya-e-gumaan thi
ham baargah-e-wasl ke thukraaye hue log
ik sohbat-e-ayyaam thi so nazar-e-fughaan thi
ham zabt ke maaron ka ajab haal tha saaqib
jo baat chhupani thi vo chehron se ayaan thi
हैरान बहुत ताबिश-ए-हुस्न-दीगराँ थी
तुझ लब की सिफ़त लाल-ए-बदख़्शाँ में कहाँ थी
फैला किए दरिया-ए-मोहब्बत के किनारे
उन झील सी आँखों में कोई चीज़ निहाँ थी
हर जश्न-ए-तरब-नाक पे मज्लिस का असर था
हर उड़ते हुए बोसे में गर्द-ए-ग़म-ए-जाँ थी
या अर्ज़-ए-यक़ीं पर थी बिछी बर्फ़ की चादर
या घेरे हुए फिर मुझे दुनिया-ए-गुमाँ थी
हम बारगह-ए-वस्ल के ठुकराए हुए लोग
इक सोहबत-ए-अय्याम थी सो नज़र-ए-फ़ुग़ाँ थी
हम ज़ब्त के मारों का अजब हाल था 'साक़िब'
जो बात छुपानी थी वो चेहरों से अयाँ थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amir Hamza Saqib
our suggestion based on Amir Hamza Saqib
As you were reading Lab Shayari Shayari