phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai | 'फिर एक रात यूॅं ही गुज़र जाने को है'

  - Rehaan

phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai

phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai
khwaab saare toot kar kahi sifar jaane ko hain
ghonsla wahm-o-gumaan ka phir se ujad jaane ko hai
zakham vo purane phir nikhar aane ko hain
saara jahaan maano gahri neend mein so gaya hai
ye man mera phir un haseen yaadon mein kho gaya hai
qalam jaise phir koi nazm likhne ki zid pe adi hai
shareef dil ki ye aadat aaj bhi bahut buri hai
aankhon se neend phir gum si gai hai
seene mein dhadkan jaise tham si gai hai
ye chanchal hawaaen ye gum sum ghataaen
mujhe khud se kahi door le ja rahi hain
vo sunsaan sadken vo veeraan galiyaan
mujhe phir se apne paas bula rahi hain
harek parwaane ko jaise bas shama ki talash hai
lehron ke man mein bhi koi adhuri si pyaas hai
sitaare ab chamak chamak kar thak se gaye hain
patte bhi poori tarah shabnam se lipt gaye hain
waqt jaise ret ki tarah fisal raha hai
chaand teji se falak ki or badh raha hai
ye sukoon-e-andhera phir se utar jaane ko hai
ye khoobsurat nazaare phir se bikhar jaane ko hain
phir ek raat yoon hi guzar jaane ko hai

'फिर एक रात यूॅं ही गुज़र जाने को है'

फिर एक रात यूॅं ही गुज़र जाने को है
ख़्वाब सारे टूट कर कहीं सिफ़र जाने को हैं
घोंसला वहम-ओ-गुमान का फिर से उजड़ जाने को है
ज़ख़्म वो पुराने फिर निखर आने को हैं
सारा जहाँ मानो गहरी नींद में सो गया है
ये मन मेरा फिर उन हसीं यादों में खो गया है
क़लम जैसे फिर कोई नज़्म लिखने की ज़िद पे अड़ी है
शरीफ़ दिल की ये आदत आज भी बहुत बुरी है
आँखों से नींद फिर गुम सी गई है
सीने में धड़कन जैसे थम सी गई है
ये चंचल हवाऍं ये गुम सुम घटाऍं
मुझे ख़ुद से कहीं दूर ले जा रही हैं
वो सुनसान सड़कें वो वीरान गलियाँ
मुझे फिर से अपने पास बुला रही हैं
हरेक परवाने को जैसे बस शमा की तलाश है
लहरों के मन में भी कोई अधूरी सी प्यास है
सितारे अब चमक चमक कर थक से गए हैं
पत्ते भी पूरी तरह शबनम से लिपट गए हैं
वक़्त जैसे रेत की तरह फिसल रहा है
चाँद तेजी से फ़लक की ओर बढ़ रहा है
ये सुकून-ए-अँधेरा फिर से उतर जाने को है
ये ख़ूबसूरत नज़ारे फिर से बिखर जाने को हैं
फिर एक रात यूॅं ही गुज़र जाने को है

  - Rehaan

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rehaan

As you were reading Shayari by Rehaan

Similar Writers

our suggestion based on Rehaan

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari