saakin-e-aalam-e-barbaad nahin samjhenge | साकिन-ए-आलम-ए-बर्बाद नहीं समझेंगे - Anis Abr

saakin-e-aalam-e-barbaad nahin samjhenge
arsh ki baatein zameen-zaad nahin samjhenge

ek muddat se qafas mein rahe panchi khud ko
ho ke azaad bhi azaad nahin samjhenge

ye zameen hai yahan jannat nahin banne waali
baat ye asar ke shaddaad nahin samjhenge

muskuraane ki adaakaari mujhe aati hai
mujh ko ghar waale bhi naashaad nahin samjhenge

abr de denge tujhe daad ye sunne waale
is ghazal mein hai jo fariyaad nahin samjhenge

साकिन-ए-आलम-ए-बर्बाद नहीं समझेंगे
अर्श की बातें ज़मीं-ज़ाद नहीं समझेंगे

एक मुद्दत से क़फ़स में रहे पंछी ख़ुद को
हो के आज़ाद भी आज़ाद नहीं समझेंगे

ये ज़मीं है यहाँ जन्नत नहीं बनने वाली
बात ये अस्र के शद्दाद नहीं समझेंगे

मुस्कुराने की अदाकारी मुझे आती है
मुझ को घर वाले भी नाशाद नहीं समझेंगे

'अब्र' दे देंगे तुझे दाद ये सुनने वाले
इस ग़ज़ल में है जो फ़रियाद नहीं समझेंगे

- Anis Abr
0 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anis Abr

As you were reading Shayari by Anis Abr

Similar Writers

our suggestion based on Anis Abr

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari