aaj ke maahol mein insaaniyat badnaam hai | आज के माहौल में इंसानियत बदनाम है

  - Daood Mohsin

aaj ke maahol mein insaaniyat badnaam hai
ye inaad-e-baahmi ka hi faqat anjaam hai

haq-shanasi ka chalan ham mein nahin baaki raha
subh apni pur-alam hai pur-khatr har shaam hai

haif barbaadi-e-gulshan apne hi haathon hui
muft mein baad-e-khizaan ke sar pe kyun ilzaam hai

dhundli dhundli si fazaa hai mehr aur ikhlaas ki
ab rifaqat aashti aur dosti gumnaam hai

tapte sehra se to bach kar aa gaye the ham magar
ab qadam kaise badhaayein pur-khatr har-gaam hai

kya giraani aur arzaani ki ham baatein karein
paani mehnga hai yahan aur khoon saste daam hai

baap se bacche ai mohsin munharif hone lage
tarbiyat aur ilm ke fuqdaan ka anjaam hai

आज के माहौल में इंसानियत बदनाम है
ये इनाद-ए-बाहमी का ही फ़क़त अंजाम है

हक़-शनासी का चलन हम में नहीं बाक़ी रहा
सुब्ह अपनी पुर-अलम है पुर-ख़तर हर शाम है

हैफ़ बर्बादी-ए-गुलशन अपने ही हाथों हुई
मुफ़्त में बाद-ए-ख़िज़ाँ के सर पे क्यूँ इल्ज़ाम है

धुँदली धुँदली सी फ़ज़ा है मेहर और इख़्लास की
अब रिफ़ाक़त आश्ती और दोस्ती गुमनाम है

तपते सहरा से तो बच कर आ गए थे हम मगर
अब क़दम कैसे बढ़ाएँ पुर-ख़तर हर-गाम है

क्या गिरानी और अर्ज़ानी की हम बातें करें
पानी महँगा है यहाँ और ख़ून सस्ते दाम है

बाप से बच्चे ऐ 'मोहसिन' मुन्हरिफ़ होने लगे
तर्बियत और इल्म के फ़ुक़्दान का अंजाम है

  - Daood Mohsin

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daood Mohsin

As you were reading Shayari by Daood Mohsin

Similar Writers

our suggestion based on Daood Mohsin

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari