tumheen to aayi ho saj-dhaj ke jalva-gar hone | तुम्हीं तो आई हो सज-धज के जल्वा-गर होने

  - Daud Ghazi

tumheen to aayi ho saj-dhaj ke jalva-gar hone
tumheen khadi ho lab-e-baam dekhta hoon main
kuchh aur der zara tum wahin khadi rahna
nashaat-e-deed ka hangaam dekhta hoon main

tumhaara husn hai goya nikhaar phoolon ka
har ik ada pe tumhaari nisaar jaan-o-dil
wafa ke naam pe marna bhi mujh ko aata hai
sahaara de do mujhe tum ki door hai manzil

tumhein ye kaise main samjhaaoon ai saba-andaaz
ki main tumhaari adaaon pe jaan deta hoon
pahunch hi jaaunga aakhir tumhaare aanchal tak
qasam tumhaari tumhein main zabaan deta hoon

ye jaanta hoon ki hain khaar rahguzaron mein
zamaana aaya hai ham-fitrat-e-sitam ban kar
har ik sitam ko main sah loonga kaash tum kuchh der
wahin khadi raho guldasta-e-karam ban kar

tumhaari aankhon mein ho intizaar ka kaajal
to mere saamne raahon ke pech-o-kham kya hain
tumhaare lutf ki shamaein agar farozaan hon
to teergi-e-sitam sarsar-e-alam kya hain

firaq-o-gham ke andheron mein ladkhadaate hue
tumhaare paas main bala-e-baam aauga
bana ke nazm-e-kuhan ko ghubaar-e-raahguzar
liye hue main nayi subh-o-shaam aauga

तुम्हीं तो आई हो सज-धज के जल्वा-गर होने
तुम्हीं खड़ी हो लब-ए-बाम देखता हूँ मैं
कुछ और देर ज़रा तुम वहीं खड़ी रहना
नशात-ए-दीद का हंगाम देखता हूँ मैं

तुम्हारा हुस्न है गोया निखार फूलों का
हर इक अदा पे तुम्हारी निसार जान-ओ-दिल
वफ़ा के नाम पे मरना भी मुझ को आता है
सहारा दे दो मुझे तुम कि दूर है मंज़िल

तुम्हें ये कैसे मैं समझाऊँ ऐ सबा-अंदाज़
कि मैं तुम्हारी अदाओं पे जान देता हूँ
पहुँच ही जाऊँगा आख़िर तुम्हारे आँचल तक
क़सम तुम्हारी तुम्हें मैं ज़बान देता हूँ

ये जानता हूँ कि हैं ख़ार रहगुज़ारों में
ज़माना आया है हम-फ़ितरत-ए-सितम बन कर
हर इक सितम को मैं सह लूँगा काश तुम कुछ देर
वहीं खड़ी रहो गुलदस्ता-ए-करम बन कर

तुम्हारी आँखों में हो इंतिज़ार का काजल
तो मेरे सामने राहों के पेच-ओ-ख़म क्या हैं
तुम्हारे लुत्फ़ की शमएँ अगर फ़रोज़ाँ हों
तो तीरगी-ए-सितम सरसर-ए-अलम क्या हैं

फ़िराक़-ओ-ग़म के अँधेरों में लड़खड़ाते हुए
तुम्हारे पास मैं बाला-ए-बाम आउँगा
बना के नज़्म-ए-कुहन को ग़ुबार-ए-राहगुज़र
लिए हुए मैं नई सुब्ह-ओ-शाम आउँगा

  - Daud Ghazi

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Ghazi

As you were reading Shayari by Daud Ghazi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Ghazi

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari