kam tera martaba na ho jaaye | कम तेरा मर्तबा न हो जाए

  - Nazar Dwivedi

kam tera martaba na ho jaaye
aadmi hi khuda na ho jaaye

koi mujh par fida na ho jaaye
zakham mera haraa na ho jaaye

khud se muddat se laapata hoon main
mujhko mera pata na ho jaaye

maine chaaha nahin falak lekin
bas ye mitti juda na ho jaaye

saari duniya ho uske qadmon mein
koi itna bada na ho jaaye

jisse rehta tha raabta qaaim
woh rivaayat fana na ho jaaye

chatpataati hai jis tarah mujh mein
jism se jaan rihaa na ho jaaye

aag uthne lagi hai jaise ab
uf ye bistar chitaa na ho jaaye

कम तेरा मर्तबा न हो जाए
आदमी ही ख़ुदा न हो जाए

कोई मुझ पर फ़िदा न हो जाए
ज़ख़्म मेरा हरा न हो जाए

ख़ुद से मुद्दत से लापता हूंँ मैं
मुझको मेरा पता न हो जाए

मैंने चाहा नहीं फ़लक लेकिन
बस ये मिट्टी जुदा न हो जाए

सारी दुनिया हो उसके क़दमों में
कोई इतना बड़ा न हो जाए

जिससे रहता था राब्ता क़ाएम
वह रिवायत फ़ना न हो जाए

छटपटाती है जिस तरह मुझ में
जिस्म से जाँ रिहा न हो जाए

आग उठने लगी है जैसे अब
उफ़ ये बिस्तर चिता न हो जाए

  - Nazar Dwivedi

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari