khel gudiyon ka nahin dil pe hukoomat karna
be-sukoon rah ke zamaane se bagaavat karna
qadr teri vo karenge tu ne socha kaise
jinko aata hi nahin khud ki bhi izzat karna
teri duniya ka bahut naam suna tha lekin
jang ladna hai yahaan apni hifazat karna
maine ashkon ko diya jab se ghazal ka paikar
dil mein aata hi nahin rab se shikaayat karna
ja ke pehle to qadam choom le apni maa ke
baad uske tu azaan aur ibadat karna
isse ghaafil hi raho to hi nazar behtar hai
uski duniya ko samajhna hai himaqat karna
खेल गुड़ियों का नहीं दिल पे हुकूमत करना
बे-सुकूँ रह के ज़माने से बग़ावत करना
क़द्र तेरी वो करेंगे तू ने सोचा कैसे
जिनको आता ही नहीं ख़ुद की भी इज़्ज़त करना
तेरी दुनिया का बहुत नाम सुना था लेकिन
जंग लड़ना है यहांँ अपनी हिफ़ाज़त करना
मैंने अश्कों को दिया जब से ग़ज़ल का पैकर
दिल में आता ही नहीं रब से शिकायत करना
जा के पहले तो क़दम चूम ले अपनी माँ के
बाद उसके तू अज़ाँ और इबादत करना
इससे ग़ाफ़िल ही रहो तो ही "नज़र" बेहतर है
उसकी दुनिया को समझना है हिमाक़त करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Charagh Shayari Shayari