kiya ratjaga koi chat par akela
raha muntazir ghar mein bistar akela
khada waqt le kar naye prashn har din
kahaan tak koi dega uttar akela
utarte nahin lafz kaaghaz pe koi
qalam le ke baitha sukhanvar akela
qalam hona tay tha jahaan bhi yaqeenan
uthaya tha hamne wahan sar akela
badi hasraton se mujhe waqt ae hijrat
raha dekhta vo mera ghar akela
hazaaron hi nadiyon ka gham pee ke aakhir
bahut roya ik din samundar akela
qabeela koi saath jaata nahin hai
nikalna hai sabko safar par akela
zara der thehre mere paas jo tu
khushi tujhko dekhoon nazar bhar akela
किया रतजगा कोई छत पर अकेले
रहा मुन्तज़िर घर में बिस्तर अकेले
खड़ा वक़्त ले कर नये प्रश्न हर दिन
कहांँ तक कोई देगा उत्तर अकेले
उतरते नहीं लफ़्ज़ काग़ज़ पे कोई
क़लम ले के बैठा सुख़नवर अकेले
क़लम होना तय था जहां भी यक़ीनन
उठाया था हमने वहाँ सर अकेले
बड़ी हसरतों से मुझे वक़्त ए हिजरत
रहा देखता वो मेरा घर अकेले
हज़ारों ही नदियों का ग़म पी के आख़िर
बहुत रोया इक दिन समुन्दर अकेले
क़बीला कोई साथ जाता नहीं है
निकलना है सबको सफ़र पर अकेले
ज़रा देर ठहरे मेरे पास जो तू
ख़ुशी तुझको देखूँ "नज़र" भर अकेले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi
our suggestion based on Nazar Dwivedi
As you were reading Samundar Shayari Shayari