bichhad ke tujh se mujhe dukh to hai malaal to hai
magar ye pyaar nibhaana bhi ik kamaal to hai
karam sahi na sahi ab tire sitam hi sahi
yahi bahut hai ki tujh ko mera khayal to hai
main is khayal se shohrat se door rehta hoon
urooj kitna bhi ho ek din zawaal to hai
main bujh gaya hoon zamaane ki aandhiyon se magar
mera vujood sulagta hua sawaal to hai
na chaah kar bhi mera zikr karte rahte hain
mukhaalifon mein ye khoobi to hai kamaal to hai
main mutmain hoon buzurgon se raabta rakh kar
juda hua mere maazi se mera haal to hai
zaif baap ka saaya bhi kam nahin ejaz
mahaaz-e-zeest mein ye naam ek dhaal to hai
बिछड़ के तुझ से मुझे दुख तो है मलाल तो है
मगर ये प्यार निभाना भी इक कमाल तो है
करम सही न सही अब तिरे सितम ही सही
यही बहुत है कि तुझ को मिरा ख़याल तो है
मैं इस ख़याल से शोहरत से दूर रहता हूँ
उरूज कितना भी हो एक दिन ज़वाल तो है
मैं बुझ गया हूँ ज़माने की आंधियों से मगर
मिरा वजूद सुलगता हुआ सवाल तो है
न चाह कर भी मिरा ज़िक्र करते रहते हैं
मुख़ालिफ़ों में ये ख़ूबी तो है कमाल तो है
मैं मुतमइन हूँ बुज़ुर्गों से राब्ता रख कर
जुड़ा हुआ मिरे माज़ी से मेरा हाल तो है
ज़ईफ़ बाप का साया भी कम नहीं 'एजाज़'
महाज़-ए-ज़ीस्त में ये नाम एक ढाल तो है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Ansari
our suggestion based on Ejaz Ansari
As you were reading Yaad Shayari Shayari