dikha ke apni haseen aan-baan pal bhar mein
vo door kar gaya meri thakaan pal bhar mein
baghair aag lagaaye bhi kuchh haseenon ne
jala diye hain kai jism-o-jaan pal bhar mein
tamaam log isee dar mein mar rahe hain yahan
bichhad na jaayen zameen aasmaan pal bhar mein
namaaz-e-ishq bhi padhta vo kaash ruk jaata
jo de gaya mere dil mein azaan pal bhar mein
vo be-zabaan tha lekin ye waqia hai kanwal
suna gaya hai koi daastaan pal bhar mein
दिखा के अपनी हसीं आन-बान पल भर में
वो दूर कर गया मेरी थकान पल भर में
बग़ैर आग लगाए भी कुछ हसीनों ने
जला दिए हैं कई जिस्म-ओ-जान पल भर में
तमाम लोग इसी डर में मर रहे हैं यहाँ
बिछड़ न जाएँ ज़मीं आसमान पल भर में
नमाज़-ए-इश्क़ भी पढ़ता वो काश रुक जाता
जो दे गया मिरे दिल में अज़ान पल भर में
वो बे-ज़बान था लेकिन ये वाक़िआ' है 'कँवल'
सुना गया है कोई दास्तान पल भर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by G R Kanwal
our suggestion based on G R Kanwal
As you were reading Hijr Shayari Shayari