zindagi se umr-bhar tak chalne ka vaada kiya
ai meri kambakht saanso haaye tum ne kya kiya
ibtidaa-e-hosh se achcha-bhala patthar tha main
ik nazar bas dekh kar tu ne mujhe dariya kiya
ek bas khaamosh se lamhe ki khwaahish hi to thi
aur usi khwaahish ne lekin shor phir kitna kiya
lutf ab dene lagi hai ye udaasi bhi mujhe
shukriya tera ki tu ne jo kiya achha kiya
sochta hoon kaun se ilzaam aur ab rah gaye
haan tujhe chaaha tujhe pooja tira sajda kiya
di nahin tasveer apni tu ne deewane ko jab
yun kiya wallaah us ne khud ko hi tujh sa kiya
kab talak aakhir ye sahti rahti khwaabon ki tapish
tang aa kar neend ne palkon se lo tauba kiya
ज़िंदगी से उम्र-भर तक चलने का वादा किया
ऐ मिरी कम्बख़्त साँसो हाए तुम ने क्या किया
इब्तिदा-ए-होश से अच्छा-भला पत्थर था मैं
इक नज़र बस देख कर तू ने मुझे दरिया किया
एक बस ख़ामोश से लम्हे की ख़्वाहिश ही तो थी
और उसी ख़्वाहिश ने लेकिन शोर फिर कितना किया
लुत्फ़ अब देने लगी है ये उदासी भी मुझे
शुक्रिया तेरा कि तू ने जो किया अच्छा किया
सोचता हूँ कौन से इल्ज़ाम और अब रह गए
हाँ तुझे चाहा तुझे पूजा तिरा सज्दा किया
दी नहीं तस्वीर अपनी तू ने दीवाने को जब
यूँ किया वल्लाह उस ने ख़ुद को ही तुझ सा किया
कब तलक आख़िर ये सहती रहती ख़्वाबों की तपिश
तंग आ कर नींद ने पलकों से लो तौबा किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gautam Rajrishi
our suggestion based on Gautam Rajrishi
As you were reading Aahat Shayari Shayari