ammi abbaa kaise hain | अम्मी अब्बा कैसे हैं

  - Ghazanfar

ammi abbaa kaise hain
tedhe hain ya seedhe hain
gum-sum rahne waale hain
baatein karne waale hain
zehn-o-dil ke kaise hain
garm hain ya phir thande hain
pyaar lutaane waale hain
aankh dikhaane waale hain
naaz uthaane waale hain
daant pilaane waale hain
dilli mein kyun rahte hain
dilli mein kya karte hain
khaana kaun banata hai
un ko kaun khilaata hai
kin se baatein karte hain
kin ki baatein sunte hain
tanhaa kaise rahte hain
tanhaai kyun sahte hain
kyun sande mein aate hain
ankle jaise lagte hain
sande mein bhi sote hain
chhutti ko bhi khote hain
ammi un se bolo na
hont zara tum kholo na
bolo un se paas rahein
ham se bhi kuchh baat karein
ham logon ka haal sunen
apni koi baat kahein
bolo na ki chust rahein
aise bhi na sust rahein
ham ko le kar shehar chalen
ghoomen phiren aur mauj karein
ham mein kaisi doori hai
ye kaisi majboori hai

अम्मी अब्बा कैसे हैं
टेढ़े हैं या सीधे हैं
गुम-सुम रहने वाले हैं
बातें करने वाले हैं
ज़ेहन-ओ-दिल के कैसे हैं
गर्म हैं या फिर ठंडे हैं
प्यार लुटाने वाले हैं
आँख दिखाने वाले हैं
नाज़ उठाने वाले हैं
डाँट पिलाने वाले हैं
दिल्ली में क्यों रहते हैं
दिल्ली में क्या करते हैं
खाना कौन बनाता है
उन को कौन खिलाता है
किन से बातें करते हैं
किन की बातें सुनते हैं
तन्हा कैसे रहते हैं
तन्हाई क्यों सहते हैं
क्यों संडे में आते हैं
अंकल जैसे लगते हैं
संडे में भी सोते हैं
छुट्टी को भी खोते हैं
अम्मी उन से बोलो ना
होंट ज़रा तुम खोलो ना
बोलो उन से पास रहें
हम से भी कुछ बात करें
हम लोगों का हाल सुनें
अपनी कोई बात कहें
बोलो ना कि चुस्त रहें
ऐसे भी न सुस्त रहें
हम को ले कर शहर चलें
घूमें फिरें और मौज करें
हम में कैसी दूरी है
ये कैसी मजबूरी है

  - Ghazanfar

Maa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Maa Shayari Shayari