daag-e-dil hain ghairat-e-sad-laala-zaar ab ke baras | दाग़-ए-दिल हैं ग़ैरत-ए-सद-लाला-ज़ार अब के बरस

  - Habeeb Moosavi

daag-e-dil hain ghairat-e-sad-laala-zaar ab ke baras
ba'ad muddat ke hai phir josh-e-bahaar ab ke baras

aabiyaari se tiri ai tegh-e-yaar ab ke baras
takhta-e-gul hai hamaara jism-e-zaar ab ke baras

ta-b-daman hai garebaan taar taar ab ke baras
tootte hain talvon mein chubh chubh ke khaar ab ke baras

hai ye zor-e-aamd-e-fasl-e-bahaar ab ke baras
mast hain zaahid bhi misl-e-badaa-khwaar ab ke baras

ulfat-e-saaqi ne lo zaahid ko bhi kheecha idhar
daur-e-may ka subha par hoga shumaar ab ke baras

fasl-e-gul mein baa'd-e-murdan bhi hua josh-e-junoon
sang-e-tiflaan se ho tarmeem-e-mazaar ab ke baras

sheeshe mein pinhaan hai may aur dil mein zauq-e-may-kashi
aate hi saaqi ke ai abr-e-bahaar ab ke baras

saaqiya aink chadhe hon ranj-o-gham baala-e-taaq
badaa-e-dee-saala ka sheesha utaar ab ke baras

zulm par baandhi hai phir sayyaad-o-gulchiin ne kamar
qaid-e-bulbul ki hai gulshan mein pukaar ab ke baras

aarzoo hai baa'd-e-murdan bhi rahoon sairaab-e-may
sarf-e-jaam-o-khum karein mera ghubaar ab ke baras

josh-e-khoon-e-bulbul-e-shaida ka paida ho asar
le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-khaar ab ke baras

julte hain dil bulbulon ke aashiyaan ki tarah se
aatish-e-gul ki hai gulshan mein pukaar ab ke baras

qismat apni apni hai achha mubarak ho habeeb
khaar-e-gham ham ko tumhein pahloo-e-yaar ab ke baras

दाग़-ए-दिल हैं ग़ैरत-ए-सद-लाला-ज़ार अब के बरस
बा'द मुद्दत के है फिर जोश-ए-बहार अब के बरस

आबियारी से तिरी ऐ तेग़-ए-यार अब के बरस
तख़्ता-ए-गुल है हमारा जिस्म-ए-ज़ार अब के बरस

ता-ब-दामन है गरेबाँ तार तार अब के बरस
टूटते हैं तलवों में चुभ चुभ के ख़ार अब के बरस

है ये ज़ोर-ए-आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार अब के बरस
मस्त हैं ज़ाहिद भी मिस्ल-ए-बादा-ख़्वार अब के बरस

उल्फ़त-ए-साक़ी ने लो ज़ाहिद को भी खींचा इधर
दौर-ए-मय का सुब्हा पर होगा शुमार अब के बरस

फ़स्ल-ए-गुल में बा'द-ए-मुर्दन भी हुआ जोश-ए-जुनूँ
संग-ए-तिफ़्लाँ से हो तरमीम-ए-मज़ार अब के बरस

शीशे में पिन्हाँ है मय और दिल में ज़ौक़-ए-मय-कशी
आते ही साक़ी के ऐ अब्र-ए-बहार अब के बरस

साक़िया ऐनक चढ़े हों रंज-ओ-ग़म बाला-ए-ताक़
बादा-ए-दी-साला का शीशा उतार अब के बरस

ज़ुल्म पर बाँधी है फिर सय्याद-ओ-गुलचीं ने कमर
क़ैद-ए-बुलबुल की है गुलशन में पुकार अब के बरस

आरज़ू है बा'द-ए-मुर्दन भी रहूँ सैराब-ए-मय
सर्फ़-ए-जाम-ओ-ख़ुम करें मेरा ग़ुबार अब के बरस

जोश-ए-ख़ून-ए-बुलबुल-ए-शैदा का पैदा हो असर
ले अगर फ़स्द-ए-रग-ए-गुल नोक-ए-ख़ार अब के बरस

जुलते हैं दिल बुलबुलों के आशियाँ की तरह से
आतिश-ए-गुल की है गुलशन में पुकार अब के बरस

क़िस्मत अपनी अपनी है अच्छा मुबारक हो 'हबीब'
ख़ार-ए-ग़म हम को तुम्हें पहलू-ए-यार अब के बरस

  - Habeeb Moosavi

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Moosavi

As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Moosavi

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari