hai nau-jawaani mein zof-e-peeri badan mein ra'sha kamar mein kham hai
zameen pe saaya hai apne qad ka ki jaada-e-manjil-e-adam hai
yahi hai rasm-e-jahaan-e-faani isee mein kattee hai zindagaani
kabhi hai saamaan-e-aish-o-raahat kabhi hujoom-e-gham-o-alam hai
batao kyun chup ho munh se bolo guhar-fishaan ho dehan to kholo
aziz rakhte ho jis ko dil se usi ke sar ki tumhein qasam hai
hatao aaine ko khudaara labon pe aaya hai dam hamaara
banaav tum dekhte ho apna yahan hai dhadka ki raat kam hai
tumhaare kooche mein jab se baithe bhulaaye dil se sabhi tariqe
khuda hi shaahid jo jaante hon kahaan kaleesa kahaan haram hai
abas hai koshish husool-e-zar mein khayal-e-faasid ko rakh na sar mein
wahi milega azal se jo kuchh har ek ke naam par raqam hai
farishte jannat ko le chale the p tere kooche mein ham jo pahunchen
machal gaye un se kah ke chhodo hamein yahi gulshan-e-iram hai
juda ho jab yaar apna saaqi kahaan ki sohbat sharaab kaisi
pilaayein gar khizr aab-e-haiwaan ham us ko samjhen yahi ki sam hai
jilaaiye ya ham ko koi maare behisht de ya sakar mein dale
rahega us but ka naam lab par hamaare jab tak ki dam mein dam hai
habeeb taa-chand fikr-e-daulat kabhi to kar dil se shukr-e-ne'mat
kareem ko hai karam ki aadat magar ye ghaflat tiri sitam hai
है नौ-जवानी में ज़ोफ़-ए-पीरी बदन में रअशा कमर में ख़म है
ज़मीं पे साया है अपने क़द का कि जादा-ए-मंज़िल-ए-अदम है
यही है रस्म-ए-जहान-ए-फ़ानी इसी में कटती है ज़िंदगानी
कभी है सामान-ए-ऐश-ओ-राहत कभी हुजूम-ए-ग़म-ओ-अलम है
बताओ क्यूँ चुप हो मुँह से बोलो गुहर-फ़िशाँ हो दहन तो खोलो
अज़ीज़ रखते हो जिस को दिल से उसी के सर की तुम्हें क़सम है
हटाओ आईने को ख़ुदारा लबों पे आया है दम हमारा
बनाव तुम देखते हो अपना यहाँ है धड़का कि रात कम है
तुम्हारे कूचे में जब से बैठे भुलाए दिल से सभी तरीक़े
ख़ुदा ही शाहिद जो जानते हों कहाँ कलीसा कहाँ हरम है
अबस है कोशिश हुसूल-ए-ज़र में ख़याल-ए-फ़ासिद को रख न सर में
वही मिलेगा अज़ल से जो कुछ हर एक के नाम पर रक़म है
फ़रिश्ते जन्नत को ले चले थे प तेरे कूचे में हम जो पहुँचे
मचल गए उन से कह के छोड़ो हमें यही गुलशन-ए-इरम है
जुदा हो जब यार अपना साक़ी कहाँ की सोहबत शराब कैसी
पिलाएँ गर ख़िज़्र आब-ए-हैवाँ हम उस को समझें यही कि सम है
जिलाए या हम को कोई मारे बहिश्त दे या सक़र में डाले
रहेगा उस बुत का नाम लब पर हमारे जब तक कि दम में दम है
'हबीब' ता-चंद फ़िक्र-ए-दौलत कभी तो कर दिल से शुक्र-ए-नेअमत
करीम को है करम की आदत मगर ये ग़फ़लत तिरी सितम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi
our suggestion based on Habeeb Moosavi
As you were reading Aadat Shayari Shayari