baarish girti hai | बारिश गिरती है

  - Iftikhar Bukhari

baarish girti hai
matiyaali qabron par baarish girti hai
hadd-e-nazar tak jal-thal
seela seela khwaab musalsal

yaad nahin main ne baarish ko pehli baar kahaan dekha tha
khidki mein ya khwaab mein
chat par ya dariya ke kinaare
afreeqa ke bacchon ki banjar aankhon mein
ya bangaal mein nangi laashon waale sogi sahilon par
kitni baarishen dafn hain jaane is baarish ke neeche

ek gali ke thande paani mein bhoola bachpan chalta tha
ek mahakta aanchal koi geela chehra ponch raha tha
jaane kahaan main fenk aaya hoon
vo dil aur vo joote
tairti takhtiyan bheege baste
pyaasi kook kisi koel ki
door hari tanhaai mein
ik geet jo us ke lab ne mere lab se jud kar gaaya tha
ik jaltee bujhti shaam judaai
saawan ki pehli kyoon mein

jis ne itne rang bhare the
meri umr ke khaali-pan mein
aaj khud us ka apna koi rang nahin
matiyaali qabron par baarish girti hai
be-maqsd hai jaise zindagi
be-ma'ni hai jaise maut

बारिश गिरती है
मटियाली क़ब्रों पर बारिश गिरती है
हद्द-ए-नज़र तक जल-थल
सीला सीला ख़्वाब मुसलसल

याद नहीं मैं ने बारिश को पहली बार कहाँ देखा था
खिड़की में या ख़्वाब में
छत पर या दरिया के किनारे
अफ़्रीक़ा के बच्चों की बंजर आँखों में
या बंगाल में नंगी लाशों वाले सोगी साहिलों पर
कितनी बारिशें दफ़्न हैं जाने इस बारिश के नीचे

एक गली के ठंडे पानी में भूला बचपन चलता था
एक महकता आँचल कोई गीला चेहरा पोंछ रहा था
जाने कहाँ मैं फेंक आया हूँ
वो दिल और वो जूते
तैरती तख़्तियाँ भीगे बस्ते
प्यासी कूक किसी कोयल की
दूर हरी तन्हाई में
इक गीत जो उस के लब ने मेरे लब से जुड़ कर गाया था
इक जलती बुझती शाम जुदाई
सावन की पहली बूंदों में

जिस ने इतने रंग भरे थे
मेरी उम्र के ख़ाली-पन में
आज ख़ुद उस का अपना कोई रंग नहीं
मटियाली क़ब्रों पर बारिश गिरती है
बे-मक़्सद है जैसे ज़िंदगी
बे-मा'नी है जैसे मौत

  - Iftikhar Bukhari

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Bukhari

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari