apni ana ki aaj bhi taskin ham ne ki | अपनी अना की आज भी तस्कीन हम ने की - Iqbal Sajid

apni ana ki aaj bhi taskin ham ne ki
jee bhar ke us ke husn ki tauheen ham ne ki

lehje ki tez dhaar se zakhmi kiya use
paivast dil mein lafz ki sangeen ham ne ki

laaye b-roo-e-kaar na husn o jamaal ko
mauqa tha phir bhi raat na rangeen ham ne ki

jee bhar ke dil ki maut pe rone diya use
pursaa diya na sabr ki talkin ham ne ki

dariya ki sair karne akela chale gaye
shaam-e-shafaq ki aap hi tahseen ham ne ki

अपनी अना की आज भी तस्कीन हम ने की
जी भर के उस के हुस्न की तौहीन हम ने की

लहजे की तेज़ धार से ज़ख़्मी किया उसे
पैवस्त दिल में लफ़्ज़ की संगीन हम ने की

लाए ब-रू-ए-कार न हुस्न ओ जमाल को
मौक़ा था फिर भी रात न रंगीन हम ने की

जी भर के दिल की मौत पे रोने दिया उसे
पुर्सा दिया न सब्र की तल्क़ीन हम ने की

दरिया की सैर करने अकेले चले गए
शाम-ए-शफ़क़ की आप ही तहसीन हम ने की

- Iqbal Sajid
0 Likes

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iqbal Sajid

As you were reading Shayari by Iqbal Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Iqbal Sajid

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari