koi payaam-e-musalsal hai shor-e-dariya bhi | कोई पयाम-ए-मुसलसल है शोर-ए-दरिया भी

  - Lais Quraishi

koi payaam-e-musalsal hai shor-e-dariya bhi
tahee-sukhan se nahin hai sukoot-e-sehra bhi

fazaa-e-dasht mein ahl-e-junoon ke hangaame
hamein to raas na aayi magar ye duniya bhi

zameen-e-tishna-e-dehn ki sada to aayi thi
magar ye baat ki abr-e-bahaar barsa bhi

ye boo-e-gul bhi pareshaan bahut hui lekin
bahut hua meri aawaargi ka charcha bhi

kiya hai fath koi lamha-e-wafa jab se
meri girift mein imroz bhi hai farda bhi

abhi to tishna-labi ke suroor mein gum hain
ham ahl-e-zarf karenge kabhi taqaza bhi

jahaan ko dekhne waali hazaar aankhen hain
inheen mein hogi kahi koi chashm-e-beena bhi

jo be-hunar hain vo shaista-e-gunaah nahin
gunaah karne mein ik shart hai saleeqa bhi

ajeeb aalam-e-begaangi mein aa nikle
garaan guzarti hai dil par tiri tamannaa bhi

jo mil raha tha b-zaahir bade khuloos ke saath
janaab-e-'lais ne us aadmi ko samjha bhi

कोई पयाम-ए-मुसलसल है शोर-ए-दरिया भी
तही-सुख़न से नहीं है सुकूत-ए-सहरा भी

फ़ज़ा-ए-दश्त में अहल-ए-जुनूँ के हंगामे
हमें तो रास न आई मगर ये दुनिया भी

ज़मीन-ए-तिश्ना-ए-दहन की सदा तो आई थी
मगर ये बात कि अब्र-ए-बहार बरसा भी

ये बू-ए-गुल भी परेशाँ बहुत हुई लेकिन
बहुत हुआ मिरी आवारगी का चर्चा भी

किया है फ़त्ह कोई लम्हा-ए-वफ़ा जब से
मिरी गिरफ़्त में इमरोज़ भी है फ़र्दा भी

अभी तो तिश्ना-लबी के सुरूर में गुम हैं
हम अहल-ए-ज़र्फ़ करेंगे कभी तक़ाज़ा भी

जहाँ को देखने वाली हज़ार आँखें हैं
इन्हीं में होगी कहीं कोई चश्म-ए-बीना भी

जो बे-हुनर हैं वो शाइस्ता-ए-गुनाह नहीं
गुनाह करने में इक शर्त है सलीक़ा भी

अजीब आलम-ए-बेगांगी में आ निकले
गराँ गुज़रती है दिल पर तिरी तमन्ना भी

जो मिल रहा था ब-ज़ाहिर बड़े ख़ुलूस के साथ
जनाब-ए-'लैस' ने उस आदमी को समझा भी

  - Lais Quraishi

Diwangi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lais Quraishi

As you were reading Shayari by Lais Quraishi

Similar Writers

our suggestion based on Lais Quraishi

Similar Moods

As you were reading Diwangi Shayari Shayari