aansoon ke phool-fal ka zaa'ika kuchh aur tha
dard ki shaakhon pe khilne ka maza kuchh aur tha
tum ne kya kya saunp dale maslahat ki dhoop ko
saaebaani ke safar ka silsila kuchh aur tha
sarmadi sochen falak-rutba hui mere tufail
shehar ke paighambar ka mashwara kuchh aur tha
lafz ke haathon hui ruswaai mere sher ki
fikr ke kashkol mein to ya-khuda kuchh aur tha
आँसूओं के फूल-फल का ज़ाइक़ा कुछ और था
दर्द की शाख़ों पे खिलने का मज़ा कुछ और था
तुम ने क्या क्या सौंप डाले मस्लहत की धूप को
साएबानी के सफ़र का सिलसिला कुछ और था
सरमदी सोचें फ़लक-रुत्बा हुईं मेरे तुफ़ैल
शहर के पैग़ाम्बर का मशवरा कुछ और था
लफ़्ज़ के हाथों हुई रुस्वाई मेरे शेर की
फ़िक्र के कश्कोल में तो या-ख़ुदा कुछ और था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by M. J. Khalid
our suggestion based on M. J. Khalid
As you were reading Aawargi Shayari Shayari