gul-mohar ki chaanv ka qissa likhoon | गुल-मोहर की छाँव का क़िस्सा लिखूँ

  - M. J. Khalid

gul-mohar ki chaanv ka qissa likhoon
ya phir apni zaat ka nauha likhoon

dard ko likkhoon mata-e-zindagi
zindagi ko aag ka dariya likhoon

shehriyat ka jab sawaal aa jaaye to
dard-o-gham ko dil ka baashinda likhoon

aah ko likkhoon sharaar-e-aarzoo
aur ashkon ko gul-e-ra'na likhoon

zulmato_n ka aks jin mein qaid hai
jugnuon ko aisa aaina likhoon

गुल-मोहर की छाँव का क़िस्सा लिखूँ
या फिर अपनी ज़ात का नौहा लिखूँ

दर्द को लिक्खूँ मता-ए-ज़िंदगी
ज़िंदगी को आग का दरिया लिखूँ

शहरियत का जब सवाल आ जाए तो
दर्द-ओ-ग़म को दिल का बाशिंदा लिखूँ

आह को लिक्खूँ शरार-ए-आरज़ू
और अश्कों को गुल-ए-रा'ना लिखूँ

ज़ुल्मतों का अक्स जिन में क़ैद है
जुगनुओं को ऐसा आईना लिखूँ

  - M. J. Khalid

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by M. J. Khalid

As you were reading Shayari by M. J. Khalid

Similar Writers

our suggestion based on M. J. Khalid

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari