guzre hue maah o saal ke gham | गुज़रे हुए माह ओ साल के ग़म

  - Mahmood Ayaz

guzre hue maah o saal ke gham
tanhaai shab mein jaag utthe hain
umr-e-rafta ki justuju mein
ashkon ke charaagh jal rahe hain

aasaish-e-zindagi ki hasrat
maazi ka naqsh ban chuki hai
haalaat ki na-guzeer talkhi
ek ek nafs mein bas gai hai

naakaami-e-aarzoo ko dil ne
tasleem o raza ke naam bakshe
milne ki khushi bichhadne ka gham
kya kya the fareb-e-zindagi ke

ik umr mein ab samajh sake hain
khushiyon ka fusoon gurez pa hai
ab tark dua ki manzilen hain
daaman-e-talab simat chuka hai

naakaami-e-shauq mitte mitte
jeene ka shooor de gai hai
ye gham hai nawaaye shab ka haasil
ye dard mata-e-zindagi hai

ujadi hui har ravish chaman ki
deti hai suraagh rang o boo ka
veeraan hain zindagi ki raahen
raushan hai charaagh aarzoo ka

गुज़रे हुए माह ओ साल के ग़म
तन्हाई शब में जाग उट्ठे हैं
उम्र-ए-रफ़्ता की जुस्तुजू में
अश्कों के चराग़ जल रहे हैं

आसाइश-ए-ज़िंदगी की हसरत
माज़ी का नक़्श बन चुकी है
हालात की ना-गुज़ीर तल्ख़ी
एक एक नफ़स में बस गई है

नाकामी-ए-आरज़ू को दिल ने
तस्लीम ओ रज़ा के नाम बख़्शे
मिलने की ख़ुशी बिछड़ने का ग़म
क्या क्या थे फ़रेब-ए-ज़िंदगी के

इक उम्र में अब समझ सके हैं
ख़ुशियों का फ़ुसूँ गुरेज़ पा है
अब तर्क दुआ की मंज़िलें हैं
दामान-ए-तलब सिमट चुका है

नाकामी-ए-शौक़ मिटते मिटते
जीने का शुऊर दे गई है
ये ग़म है नवाए शब का हासिल
ये दर्द मता-ए-ज़िंदगी है

उजड़ी हुई हर रविश चमन की
देती है सुराग़ रंग ओ बू का
वीरान हैं ज़िंदगी की राहें
रौशन है चराग़ आरज़ू का

  - Mahmood Ayaz

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari