qarz duniya ka chukaana rah gaya
paas ghurbat ka khazana rah gaya
muflison ko poochta koii nahin
ab ameeron ka zamaana rah gaya
ishq ka haasil yahi hai aajkal
husn ke nakhre uthaana rah gaya
khwaahishein to dil mein ghut ke rah gaeein
bas adhoora ik fasaana rah gaya
aarzoo to thi bulandi kii magar
haif ye sapna suhaana rah gaya
vaqte rukhsat usne dekha bhi nahin
ab to bas rona rulaana rah gaya
gham bhulaane ke liye meena faqat
maykade mein aana jaana rah gaya
क़र्ज़ दुनिया का चुकाना रह गया
पास ग़ुरबत का ख़ज़ाना रह गया
मुफ़लिसों को पूछता कोई नहीं
अब अमीरों का ज़माना रह गया
इश्क़ का हासिल यही है आजकल
हुस्न के नख़रे उठाना रह गया
ख़्वाहिशें तो दिल में घुट के रह गईं
बस अधूरा इक फ़साना रह गया
आरज़ू तो थी बुलंदी की मगर
हैफ़ ये सपना सुहाना रह गया
वक़्ते रुख़सत उसने देखा भी नहीं
अब तो बस रोना रुलाना रह गया
ग़म भुलाने के लिए मीना फ़क़त
मयकदे में आना जाना रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Jalwa Shayari Shayari