meherbaan ho ke bula lo mujhe chaaho jis waqt
main gaya waqt nahin hoon ki phir aa bhi na sakoon
zof mein taana-e-aghyaar ka shikwa kya hai
baat kuchh sar to nahin hai ki utha bhi na sakoon
zahar milta hi nahin mujh ko sitamgar warna
kya qasam hai tire milne ki ki kha bhi na sakoon
is qadar zabt kahaan hai kabhi aa bhi na sakoon
sitam itna to na kijeye ki utha bhi na sakoon
lag gai aag agar ghar ko to andesha kya
shola-e-dil to nahin hai ki bujha bhi na sakoon
tum na aaoge to marne ki hain sau tadbeerein
maut kuchh tum to nahin ho ki bula bhi na sakoon
hans ke bulwaaiye mit jaayega sab dil ka gila
kya tasavvur hai tumhaara ki mita bhi na sakoon
मेहरबाँ हो के बुला लो मुझे चाहो जिस वक़्त
मैं गया वक़्त नहीं हूँ कि फिर आ भी न सकूँ
ज़ोफ़ में ताना-ए-अग़्यार का शिकवा क्या है
बात कुछ सर तो नहीं है कि उठा भी न सकूँ
ज़हर मिलता ही नहीं मुझ को सितमगर वर्ना
क्या क़सम है तिरे मिलने की कि खा भी न सकूँ
इस क़दर ज़ब्त कहाँ है कभी आ भी न सकूँ
सितम इतना तो न कीजे कि उठा भी न सकूँ
लग गई आग अगर घर को तो अंदेशा क्या
शो'ला-ए-दिल तो नहीं है कि बुझा भी न सकूँ
तुम न आओगे तो मरने की हैं सौ तदबीरें
मौत कुछ तुम तो नहीं हो कि बुला भी न सकूँ
हँस के बुलवाइए मिट जाएगा सब दिल का गिला
क्या तसव्वुर है तुम्हारा कि मिटा भी न सकूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Hadsa Shayari Shayari