ghazal kahi hai hadees-e-gham-e-jahaan ki tarah | ग़ज़ल कही है हदीस-ए-ग़म-ए-जहाँ की तरह

  - Panna Lal Noor

ghazal kahi hai hadees-e-gham-e-jahaan ki tarah
sunenge log ise apni dastaan ki tarah

fareb deta hoon duniya ko inkisaari ka
main apne aap mein faila hoon aasmaan ki tarah

qadam qadam pe ziya-baariyaan ma'az-allah
ye raahguzaar hai ki phaili hai kahkashaan ki tarah

ye gul to gul hain chaman ko na bech den zalim
jo roop apna banaaye hain baagbaan ki tarah

zaroor saazish-e-kalk-e-azal thi kuchh is mein
pada hoon ek taraf harf-e-raaegaan ki tarah

kahaan tha mera nasheeman main sab se pooch aaya
kisi ka ghar na jale mere aashiyaan ki tarah

tatol lena zara un ki aasteinen bhi
jo tum se haath milaate hain raaz-daan ki tarah

vo jin ka raaz-e-mohabbat tha be-niyaaz hue
ham un ka raaz chhupaaye hain apni jaan ki tarah

koi to jaan pe khele hai ban ke parwaana
jala kare hai koi sham'a-e-be-zabaan ki tarah

mile to qafile sau sau shikasta-paa the humeen
uth uth ke baith gaye gard-e-kaarwaan ki tarah

ग़ज़ल कही है हदीस-ए-ग़म-ए-जहाँ की तरह
सुनेंगे लोग इसे अपनी दास्ताँ की तरह

फ़रेब देता हूँ दुनिया को इंकिसारी का
मैं अपने आप में फैला हूँ आसमाँ की तरह

क़दम क़दम पे ज़िया-बारियाँ मआ'ज़-अल्लाह
ये रहगुज़र है कि फैली है कहकशाँ की तरह

ये गुल तो गुल हैं चमन को न बेच दें ज़ालिम
जो रूप अपना बनाए हैं बाग़बाँ की तरह

ज़रूर साज़िश-ए-कलक-ए-अज़ल थी कुछ इस में
पड़ा हूँ एक तरफ़ हर्फ़-ए-राएगाँ की तरह

कहाँ था मेरा नशेमन मैं सब से पूछ आया
किसी का घर न जले मेरे आशियाँ की तरह

टटोल लेना ज़रा उन की आस्तीनें भी
जो तुम से हाथ मिलाते हैं राज़-दाँ की तरह

वो जिन का राज़-ए-मोहब्बत था बे-नियाज़ हुए
हम उन का राज़ छुपाए हैं अपनी जाँ की तरह

कोई तो जान पे खेले है बन के परवाना
जला करे है कोई शम्अ-ए-बे-ज़बाँ की तरह

मिले तो क़ाफ़िले सौ सौ शिकस्ता-पा थे हमीं
उठ उठ के बैठ गए गर्द-ए-कारवाँ की तरह

  - Panna Lal Noor

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Panna Lal Noor

As you were reading Shayari by Panna Lal Noor

Similar Writers

our suggestion based on Panna Lal Noor

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari