agar magar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
kisi safar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
gala dabaata hai kamra cheekhen ghutan bani hain
tumhaare ghar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
charaagh bujhne pe jism karte shadeed ujaala
siyaah-tar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
bitaya bachpan chadhi jawaani budhaapa tension
ham is pahar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
na badloo manzil ho rah mein dam todna ganwaara
ta-ba-jigar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
ye sochkar ke tamaam koshish sukoon aaye
guzar basar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
kamaal vo log kaise khaana kharab honge
azeez-tar mein hain zindagi jee nahin rahe hain
अगर मगर में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
किसी सफ़र में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
गला दबाता है कमरा चीखें घुटन बनी हैं
तुम्हारे घर में हैं ज़िन्दगी, जी नहीं रहे हैं
चराग़ बुझने पे जिस्म करते शदीद उजाला
सियाह-तर में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
बिताया बचपन, चड़ी जवानी, बुढापा टेंशन
हम इस पहर में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
न बदलू मंज़िल हो रह में दम तोड़ना गँवारा
ता-बा-जिगर में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
ये सोचकर के तमाम कोशिश सुकून आए
गुज़र बसर में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
कमाल वो लोग कैसे ख़ाना ख़राब होंगे
अज़ीज़-तर में हैं, ज़िन्दगी जी नहीं रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abuzar kamaal
our suggestion based on Abuzar kamaal
As you were reading Aadmi Shayari Shayari