pee bhi ai maaya-e-shabaab sharaab | पी भी ऐ माया-ए-शबाब शराब

  - Qalaq Merathi

pee bhi ai maaya-e-shabaab sharaab
garm-joshi se hai kebab sharaab

maryami ud gai maseeha ki
lab-e-naazuk pe hai sharaab sharaab

us se ham ja bhidhe adoo ke ghar
hai padi khaanumaan-kharaab sharaab

kyun ki mutlaq haraam hi kahiye
peejiyega mila ke aab sharaab

behr-e-har-zarf-e-imtihaan saaghar
har tamannaa ka intikhaab sharaab

ba'ad-azeen mohtasib qasam le le
tauba karta hoon la shitaab sharaab

zaayein auqaat ko nahin karte
peete hain waqt-e-mahtaab sharaab

sakht maatam hai ai shabaab tira
ki rulaati hai khoon-e-naab sharaab

mohtasib us ka khoon hai kis par
jo hai peeta bajaae aab sharaab

musahaf-o-khirqa bechte hain ham
ho gai jaan ko azaab sharaab

us ki bakshish hai be-hisaab agar
ham bhi peete hain be-hisaab sharaab

har ghadi zikr-e-may hai ai wa'iz
ho gai teri to kitaab sharaab

ai qalq may-kade mein sajde kyun
kaun dega pa-e-sawaab sharaab

पी भी ऐ माया-ए-शबाब शराब
गर्म-जोशी से है कबाब शराब

मरयमी उड़ गई मसीहा की
लब-ए-नाज़ुक पे है शराब शराब

उस से हम जा भिड़े अदू के घर
है पड़ी ख़ानुमाँ-ख़राब शराब

क्यूँ कि मुतलक़ हराम ही कहिए
पीजिएगा मिला के आब शराब

बहर-ए-हर-ज़र्फ़-ए-इम्तिहाँ साग़र
हर तमन्ना का इंतिख़ाब शराब

बअ'द-अज़ीं मोहतसिब क़सम ले ले
तौबा करता हूँ ला शिताब शराब

ज़ाएअ' औक़ात को नहीं करते
पीते हैं वक़्त-ए-माहताब शराब

सख़्त मातम है ऐ शबाब तिरा
कि रुलाती है ख़ून-ए-नाब शराब

मोहतसिब उस का ख़ून है किस पर
जो है पीता बजाए आब शराब

मुसहफ़-ओ-ख़िर्क़ा बेचते हैं हम
हो गई जान को अज़ाब शराब

उस की बख़्शिश है बे-हिसाब अगर
हम भी पीते हैं बे-हिसाब शराब

हर घड़ी ज़िक्र-ए-मय है ऐ वाइ'ज़
हो गई तेरी तो किताब शराब

ऐ 'क़लक़' मय-कदे में सज्दे क्यूँ
कौन देगा प-ए-सवाब शराब

  - Qalaq Merathi

Kitab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qalaq Merathi

As you were reading Shayari by Qalaq Merathi

Similar Writers

our suggestion based on Qalaq Merathi

Similar Moods

As you were reading Kitab Shayari Shayari