dagaa milne pe bhi us shakhs ko ruswa nahin karna | दग़ा मिलने पे भी उस शख़्स को रुसवा नहीं करना

  - Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'

dagaa milne pe bhi us shakhs ko ruswa nahin karna
mujhe is baat ka to ilm hai ab kya nahin karna

zara sii baat pe vo chal diya phir munh bana kar ke
abhi to tay hua tha ab hamein jhagda nahin karna

main ab is kashmakash mein hoon liye ik mas'ala gham ka
bataana bhi hai sab kuchh aur man halka nahin karna

zaroori hai mohabbat qais ya farhad ke jaisi
yahi koshish karo waisi hi ho varna nahin karna

chala aata main chaukhat pe teri shaayad kabhi lekin
tujhe tere makaan ka raasta pakka nahin karna

tera sar kyun jhuka rajneesh phir se ishq ke aage
tu ab ke thaan kar aaya tha phir sajda nahin karna

दग़ा मिलने पे भी उस शख़्स को रुसवा नहीं करना
मुझे इस बात का तो इल्म है अब क्या नहीं करना

ज़रा सी बात पे वो चल दिया फिर मुँह बना कर के
अभी तो तय हुआ था अब हमें झगड़ा नहीं करना

मैं अब इस कशमकश में हूँ लिए इक मसअला ग़म का
बताना भी है सब कुछ और मन हल्का नहीं करना

ज़रूरी है मोहब्बत क़ैस या फ़रहाद के जैसी
यही कोशिश करो वैसी ही हो वरना नहीं करना

चला आता मैं चौखट पे तेरी शायद कभी लेकिन
तुझे तेरे मकाँ का रास्ता पक्का नहीं करना

तेरा सर क्यूँ झुका 'रजनीश' फिर से इश्क़ के आगे
तू अब के ठान कर आया था फिर सजदा नहीं करना

  - Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'

As you were reading Shayari by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'

Similar Writers

our suggestion based on Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari