galat tha aaina aisa nahin tha
humeen ne theek se dekha nahin tha
ghaneemat hai mohabbat aayi mujh tak
wagarana haath kuchh lagta nahin tha
main uski aankhon mein kya dekhta hoon
mera chehra mera chehra nahin tha
mujhe sunkar sunaane lag gaye tum
bataaya tha tumhein poocha nahin tha
parindon isliye azaad ho tum
ki tumpe koii bhi pahra nahin tha
bhala kyun dekhta main khwaab tera
mukammal to kabhi hona nahin tha
ye mumkin tha kabootar laut aata
par ab uska vo ham-saaya nahin tha
ग़लत था आइना ऐसा नहीं था
हमीं ने ठीक से देखा नहीं था
ग़नीमत है मोहब्बत आई मुझ तक
वगरना हाथ कुछ लगता नहीं था
मैं उसकी आँखों में क्या देखता हूँ
मेरा चेहरा मेरा चेहरा नहीं था
मुझे सुनकर सुनाने लग गए तुम
बताया था तुम्हें पूछा नहीं था
परिंदों इसलिए आज़ाद हो तुम
कि तुमपे कोई भी पहरा नहीं था
भला क्यूँ देखता मैं ख़्वाब तेरा
मुकम्मल तो कभी होना नहीं था
ये मुमकिन था कबूतर लौट आता
पर अब उसका वो हम-साया नहीं था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
our suggestion based on Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
As you were reading Aaina Shayari Shayari