muflis ki bad-dua hoon mujhe maar deejie
main aap ik bala hoon mujhe maar deejie
us se bichhad ke uski muhabbat ki aag mein
muddat se jal raha hoon mujhe maar deejie
haasil mujhe karenge to tadpenge umr bhar
main dard-e-la-dawa hoon mujhe maar deejie
kya kuchh na kar chuka hoon main jeene ke vaaste
par ab main thak chuka hoon mujhe maar deejie
khud apni jaan loonga to dozkh mein jaaunga
main khuld chahta hoon mujhe maar deejie
parwaaz kar na paayenge sohbat mein meri aap
main aib dekhta hoon mujhe maar deejie
har paida hone waale ko laazim hai intiqaal
is haq se bolta hoon mujhe maar deejie
मुफ़लिस की बद-दुआ हूँ मुझे मार दीजिए
मैं आप इक बला हूँ मुझे मार दीजिए
उस से बिछड़ के उसकी मुहब्बत की आग में
मुद्दत से जल रहा हूँ मुझे मार दीजिए
हासिल मुझे करेंगे तो तड़पेंगे उम्र भर
मैं दर्द-ए-ला-दवा हूँ मुझे मार दीजिए
क्या कुछ न कर चुका हूँ मैं जीने के वास्ते
पर अब मैं थक चुका हूँ मुझे मार दीजिए
ख़ुद अपनी जान लूँगा तो दोज़ख में जाऊँगा
मैं ख़ुल्द चाहता हूँ मुझे मार दीजिए
परवाज़ कर न पाएंगे सोहबत में मेरी आप
मैं ऐब देखता हूँ मुझे मार दीजिए
हर पैदा होने वाले को लाज़िम है इंतिक़ाल
इस हक़ से बोलता हूँ मुझे मार दीजिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by रूपम कुमार 'मीत'
our suggestion based on रूपम कुमार 'मीत'
As you were reading Maut Shayari Shayari