yah zakhm bhi phir itna naasoor nahin hota
gar dil ka dukhaana hi dastoor nahin hota
main khud ko ye samjhaata tujhko bhi muhabbat hai
bas maang mein teri vo sindoor nahin hota
sar kaat diye hote baaraat mein kitnon ke
main dost agar us din majboor nahin hota
bas ek badi qeemat ko maangti hai manzil
aise hi yahan koii mashhoor nahin hota
यह ज़ख़्म भी फिर इतना नासूर नहीं होता
गर दिल का दुखाना ही दस्तूर नहीं होता
मैं ख़ुद को ये समझाता तुझको भी मुहब्बत है
बस माँग में तेरी वो सिन्दूर नहीं होता
सर काट दिए होते बारात में कितनों के
मैं दोस्त अगर उस दिन मजबूर नहीं होता
बस एक बड़ी क़ीमत को माँगती है मंज़िल
ऐसे ही यहाँ कोई मशहूर नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Gham Shayari Shayari