ek tanhaai dil mein ghar ki hai | एक तन्हाई दिल में घर की है

  - Sahir banarasi

ek tanhaai dil mein ghar ki hai
gham ki khaala ki jaise beti hai

jang mein saath vo na dega ab
thaal mein uske rakhi roti hai

parde mein hi raha karo jaan ab
tera ye shehar kaafi wahshi hai

kaun waiz rahega saaqi ab
ho gai yaa sharaab sasti hai

yaad jiski rahe mujhe hardam
yaar vo jhumke waali ladki hai

aaj nepathy mein mila usse
doston mein ghiri jo rahti hai

kitni yaadein hain qaid usmein ab
vo jo album rakhi puraani hai

rooh azaad kaise ho saahir
zism pe uski kuchh nishaani hai

एक तन्हाई दिल में घर की है
ग़म की ख़ाला की जैसे बेटी है

जंग में साथ वो न देगा अब
थाल में उसके रक्खी रोटी है

पर्दे में ही रहा करो जाँ अब
तेरा ये शहर काफ़ी वहशी है

कौन वाइज़ रहेगा साक़ी अब
हो गई याँ शराब सस्ती है

याद जिसकी रहे मुझे हरदम
यार वो झुमके वाली लड़की है

आज नेपथ्य में मिला उससे
दोस्तों में घिरी जो रहती है

कितनी यादें हैं क़ैद उसमें अब
वो जो एल्बम रखी पुरानी है

रूह आज़ाद कैसे हो 'साहिर'
ज़िस्म पे उसकी कुछ निशानी है

  - Sahir banarasi

Sharaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahir banarasi

As you were reading Shayari by Sahir banarasi

Similar Writers

our suggestion based on Sahir banarasi

Similar Moods

As you were reading Sharaab Shayari Shayari