mujhko apne paas bithakar baatein kar | मुझको अपने पास बिठाकर बातें कर

  - Shaurya Shah

mujhko apne paas bithakar baatein kar
khaamoshi se lagta hai dar baatein kar

deewaron ke kaan abhi tak hairaan hai
jaane kab se soona hai ghar baatein kar

kyun tu sabse jhuk kar baatein karta hai
saccha hai to aankh milaakar baatein kar

saari duniya bas ooncha hi sunti hai
ab se tu bhi shor machakar baatein kar

maine dil ke raaz sabhi hai khol diye
yaara ab to tu bhi khulkar baatein kar

मुझको अपने पास बिठाकर बातें कर
ख़ामोशी से लगता है डर बातें कर

दीवारों के कान अभी तक हैराँ है
जाने कब से सूना है घर बातें कर

क्यों तू सबसे झुक कर बातें करता है
सच्चा है तो आँख मिलाकर बातें कर

सारी दुनिया बस ऊँचा ही सुनती है
अब से तू भी शोर मचाकर बातें कर

मैंने दिल के राज़ सभी है खोल दिए
यारा अब तो तू भी खुलकर बातें कर

  - Shaurya Shah

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shaurya Shah

As you were reading Shayari by Shaurya Shah

Similar Writers

our suggestion based on Shaurya Shah

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari