aish sab khush aate hain jab talak jawaani hai
murda-dil vo hota hai jo ki sheikh faani hai
jab talak rahe jeeta chahiye hanse bole
aadmi ko chup rahna maut ki nishaani hai
jo ki tera aashiq hai us ka ai gul-e-raana
rang-e-zaafaaraani hai ashk-e-arghwaani hai
aah ki nahin taqat taab nahin hai naale ki
hijr mein tire zalim kya hi naa-tawaani hai
chaar din ki ishrat par dil laga na duniya se
kahte hain ki jannat mein aish-e-jaavedaani hai
gul-rukhan ka aab-o-rang dekhne se mere hai
husn ki gulistaan ki mujh ko baaghbaani hai
dil se kyun nahin chaahoon yaar ko ki ai taabaan
dil-ruba hai pyaara hai jiwraa hai jaani hai
ऐश सब ख़ुश आते हैं जब तलक जवानी है
मुर्दा-दिल वो होता है जो कि शेख़ फ़ानी है
जब तलक रहे जीता चाहिए हँसे बोले
आदमी को चुप रहना मौत की निशानी है
जो कि तेरा आशिक़ है उस का ऐ गुल-ए-रअना
रंग-ए-ज़ाफ़रानी है अश्क-ए-अर्ग़वानी है
आह की नहीं ताक़त ताब नहीं है नाले की
हिज्र में तिरे ज़ालिम क्या ही ना-तवानी है
चार दिन की इशरत पर दिल लगा न दुनिया से
कहते हैं कि जन्नत में ऐश-ए-जावेदानी है
गुल-रुख़ाँ का आब-ओ-रंग देखने से मेरे है
हुस्न की गुलिस्ताँ की मुझ को बाग़बानी है
दिल से क्यूँ नहीं चाहूँ यार को कि ऐ 'ताबाँ'
दिल-रुबा है प्यारा है जिवड़ा है जानी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taban Abdul Hai
our suggestion based on Taban Abdul Hai
As you were reading Aadmi Shayari Shayari