gham bhi hamko na tanhaa mile hain | ग़म भी हमको न तन्हा मिले हैं,

  - Salma Malik

gham bhi hamko na tanhaa mile hain
sang khushiyon ke bhi qafile hain

tajarbe umr ne kuchh diye hain
kuchh buzurgon se hamko mile hain

jab na charagaron se bhare to
zakhm khud apne hamne sile hain

kuchh shikaayat bhi hoti thi pehle
ab maraasim na shikwe gile hain

hai paseena bhi hamne bahaaya
paanv bhi to hamaare chhile hain

raaz tum ye na salma se poocho
zakhm kitne hi hamko mile hain

ग़म भी हमको न तन्हा मिले हैं,
संग ख़ुशियों के भी क़ाफ़िले हैं

तजरबे उम्र ने कुछ दिए हैं,
कुछ बुज़ुर्गों से हमको मिले हैं

जब न चारागरों से भरे तो
ज़ख़्म ख़ुद अपने हमने सिले हैं

कुछ शिकायत भी होती थी पहले,
अब मरासिम न शिकवे गिले हैं

है पसीना भी हमने बहाया
पाँव भी तो हमारे छिले हैं

राज़ तुम ये न 'सलमा' से पूछो,
ज़ख़्म कितने ही हमको मिले हैं

  - Salma Malik

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari