jaan-e-jaan tumse ye mohabbat hai
umr bhar ki ye meri aadat hai
kyun nahin hote tum mere jaanaan
kya tumhein yaar mujhse nafrat hai
dil mein jo phool khilte rahte hain
dil ko teri bahut zaroorat hai
main jo ghazlein ye likhta hoon yaaron
yaaron ye uski sab karaamat hai
chain kaise mujhe yahan aaye
aaj uski yahan se hijrat hai
जान-ए-जाँ तुमसे ये मोहब्बत है
उम्र भर की ये मेरी आदत है
क्यूँ नहीं होते तुम मिरे जानाँ
क्या तुम्हें यार मुझसे नफ़रत है
दिल में जो फूल खिलते रहते हैं
दिल को तेरी बहुत ज़रूरत है
मैं जो ग़ज़लें ये लिखता हूँ यारों
यारों ये उसकी सब करामत है
चैन कैसे मुझे यहाँ आए
आज उसकी यहाँ से हिजरत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Nafrat Shayari Shayari