tasavvur ki mehfil sajaai hui thi | तसव्वुर की महफ़िल सजाई हुई थी

  - Vaseem 'Haidar'

tasavvur ki mehfil sajaai hui thi
mere zakhamon ki phir silaai hui thi

mohabbat to hai baat karti nahin ho
isee baat par phir ladai hui thi

meri aankh mein aansu ye aa gaye the
vo ik yaad bhi kiski laai hui thi

main kyun khud ko ranjeeda karta nahin yaa
mere ghar se uski vidaai hui thi

meri call bhi kaat di usne haider
ki ghar uske ik dost aayi hui thi

तसव्वुर की महफ़िल सजाई हुई थी
मिरे ज़ख़्मों की फिर सिलाई हुई थी

मोहब्बत तो है बात करती नहीं हो
इसी बात पर फिर लड़ाई हुई थी

मिरी आँख में आँसू ये आ गए थे
वो इक याद भी किसकी लाई हुई थी

मैं क्यूँ ख़ुद को रंजीदा करता नहीं याँ
मिरे घर से उसकी विदाई हुई थी

मेरी कॉल भी काट दी उसने 'हैदर'
कि घर उसके इक दोस्त आई हुई थी

  - Vaseem 'Haidar'

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari