zindagi mein mujhko jaana bhi kahaan hai | ज़िंदगी में मुझको जाना भी कहाँ है

  - Vaseem 'Haidar'

zindagi mein mujhko jaana bhi kahaan hai
jaanta hoon sab bhulaana bhi kahaan hai

hans rahe hain bhool kar tujhko meri jaan
aur mera ab thikaana bhi kahaan hai

ab zamaane beete koi ishq kar le
paas mere ab bahaana bhi kahaan hai

mere aangan mein koi aayega ab to
vaada tujhko jaan nibhaana bhi kahaan hai

mere dil mein aur koi rehta hai ab
tujhko dil mein ab bithaana bhi kahaan hai

pehle uski baahon mein aabaad tha main
ab mera yaa aashiyana bhi kahaan hai

ज़िंदगी में मुझको जाना भी कहाँ है
जानता हूँ सब भुलाना भी कहाँ है

हँस रहे हैं भूल कर तुझको मिरी जाँ
और मेरा अब ठिकाना भी कहाँ है

अब ज़माने बीते कोई इश्क़ कर ले
पास मेरे अब बहाना भी कहाँ है

मेरे आँगन में कोई आएगा अब तो
वादा तुझको जाँ निभाना भी कहाँ है

मेरे दिल में और कोई रहता है अब
तुझको दिल में अब बिठाना भी कहाँ है

पहले उसकी बाहों में आबाद था मैं
अब मिरा याँ आशियाना भी कहाँ है

  - Vaseem 'Haidar'

Aangan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Aangan Shayari Shayari