"Zameer" | "ज़मीर" - Wamiq Jaunpuri

"Zameer"

rooh naapaak meri qalb bhi naapaak mera
nafs-e-ammaara bahut ho gaya bebaak mera

bojh mein apne hi maazi ke daba jaata hoon
apni hi aag mein ab khud hi jala jaata hoon

kis taraf jaaun kahaan dhoon main apna daaman
mere maqtool mere saath hain be-ghusl-o-kafn

dekhta hoon shab-e-taareek mein jab main taare
nok-e-nezaa pe nazar aate hain kitne bacche

aaj tak yaad hain mujh ko vo nigaahen maasoom
in hi haathon ne jinhen kar diya badh kar maadum

chaatiyaan maon ki hans hans ke hain main ne kaateen
haddiyon se meri talwaar ne sadken paatien

apni har zarb ka ab khud hi nishaana hoon main
jurm unwaan ho jis ka vo fasana hoon main

main ne ismat ke sanam khaanon ko mismar kiya
apni behnon ko supurd-e-sar-e-baazaar kiya

kitne mah-paare hue khud meri zulmat ka shikaar
kaun kar saka hai ab mere gunaahon ka shumaar

chaunk chaunk uthata hoon raaton ko main akshar ab bhi
cheekhen rah rah ke mere kaanon mein aati hain wahi

apne kirdaar ko ab kaise bhulaaun ai dost
apni hi laash ko ab kaise uthaaun ai dost

khaaye jaata hai mujhe ab mere maazi ka khayal
kya mere jurm ki paadaash hai is darja muhaal

"ज़मीर"


रूह नापाक मिरी क़ल्ब भी नापाक मिरा
नफ़्स-ए-अम्मारा बहुत हो गया बेबाक मिरा

बोझ में अपने ही माज़ी के दबा जाता हूँ
अपनी ही आग में अब ख़ुद ही जला जाता हूँ

किस तरफ़ जाऊँ कहाँ धोऊँ मैं अपना दामन
मेरे मक़्तूल मिरे साथ हैं बे-ग़ुस्ल-ओ-कफ़्न

देखता हूँ शब-ए-तारीक में जब मैं तारे
नोक-ए-नेज़ा पे नज़र आते हैं कितने बच्चे

आज तक याद हैं मुझ को वो निगाहें मासूम
इन ही हाथों ने जिन्हें कर दिया बढ़ कर मादूम

छातियाँ माओं की हँस हँस के हैं मैं ने काटीं
हड्डियों से मिरी तलवार ने सड़कें पाटीं

अपनी हर ज़र्ब का अब ख़ुद ही निशाना हूँ मैं
जुर्म उनवान हो जिस का वो फ़साना हूँ मैं

मैं ने इस्मत के सनम ख़ानों को मिस्मार किया
अपनी बहनों को सुपुर्द-ए-सर-ए-बाज़ार किया

कितने मह-पारे हुए ख़ुद मिरी ज़ुल्मत का शिकार
कौन कर सकता है अब मेरे गुनाहों का शुमार

चौंक चौंक उठता हूँ रातों को मैं अक्सर अब भी
चीख़ें रह रह के मिरे कानों में आती हैं वही

अपने किरदार को अब कैसे भुलाऊँ ऐ दोस्त
अपनी ही लाश को अब कैसे उठाऊँ ऐ दोस्त

खाए जाता है मुझे अब मिरे माज़ी का ख़याल
क्या मिरे जुर्म की पादाश है इस दर्जा मुहाल

- Wamiq Jaunpuri
0 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wamiq Jaunpuri

As you were reading Shayari by Wamiq Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Wamiq Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari