khudaaon ki khudaai ho chuki bas
khudaara bas duhaai ho chuki bas
kisi dhab se nipt lo jab maza hai
bahut zor-aazmaai ho chuki bas
bujaaye kaun tu jis ko jalaae
patangon ki chadhaai ho chuki bas
hawa mein ud gaya ek ek patta
gulon ki jag-hansaai ho chuki bas
bhala ab kya jachoon apni nazar mein
nazar apni paraai ho chuki bas
raha kya jab dilon mein farq aaya
usi din se judaai ho chuki bas
pade ho kaun se goshe mein tanhaa
yagaana kyun khudaai ho chuki bas
ख़ुदाओं की ख़ुदाई हो चुकी बस
ख़ुदारा बस दुहाई हो चुकी बस
किसी ढब से निपट लो जब मज़ा है
बहुत ज़ोर-आज़माई हो चुकी बस
बुझाए कौन तू जिस को जलाए
पतंगों की चढ़ाई हो चुकी बस
हवा में उड़ गया एक एक पत्ता
गुलों की जग-हँसाई हो चुकी बस
भला अब क्या जचूँ अपनी नज़र में
नज़र अपनी पराई हो चुकी बस
रहा क्या जब दिलों में फ़र्क़ आया
उसी दिन से जुदाई हो चुकी बस
पड़े हो कौन से गोशे में तन्हा
'यगाना' क्यूँ ख़ुदाई हो चुकी बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Partition Shayari Shayari