waan naqaab utthi ki subh-e-hashr ka manzar khula | वाँ नक़ाब उट्ठी कि सुब्ह-ए-हश्र का मंज़र खुला

  - Yagana Changezi

waan naqaab utthi ki subh-e-hashr ka manzar khula
ya kisi ke husn-e-aalam-taab ka daftar khula

ghaib se pichhle pahar aati hai kaanon mein sada
utho utho rahmat-e-rabb-e-ula ka dar khula

aankh jhapki thi tasavvur bandh chuka tha yaar ka
chaukte hi hasrat-e-deedaar ka daftar khula

koo-e-jaanaan ka samaan aankhon ke aage phir gaya
subh-e-jannat ka jo apne saamne manzar khula

rang badla phir hawa ka may-kashon ke din phire
phir chali baad-e-saba phir may-kade ka dar khula

aa rahi hai saaf boo-e-sumbul-e-baagh-e-jinaan
gesu-e-mahboob shaayad meri mayyat par khula

chaar-deewaar-e-anaasir faand kar pahunchen kahaan
aaj apna zor-e-wahshat arsh-e-aazam par khula

chup lagi mujh ko gunaah-e-ishq saabit ho gaya
rang chehre ka uda raaz-e-dil-e-muztar khula

ashk-e-khoon se zard chehre par hai kya turfah bahaar
dekhiye rang-e-junoon kaisa mere munh par khula

khanjar-e-qaatil se jannat ki hawa aane lagi
aur bahaar-e-zakhm se firdaus ka manzar khula

neem-jaan chhodaa tiri talwaar ne achha kiya
ediyaan bismil ne ragadeen sabr ka jauhar khula

sohbat-e-waiz mein bhi angadaaiyaan aane lagin
raaz apni may-kashi ka kya kahein kyunkar khula

haath uljha hai garebaan mein to ghabraao na yaas
bediyaan kyunkar kateen zindaan ka dar kyunkar khula

वाँ नक़ाब उट्ठी कि सुब्ह-ए-हश्र का मंज़र खुला
या किसी के हुस्न-ए-आलम-ताब का दफ़्तर खुला

ग़ैब से पिछले पहर आती है कानों में सदा
उट्ठो उट्ठो रहमत-ए-रब्ब-ए-उला का दर खुला

आँख झपकी थी तसव्वुर बंध चुका था यार का
चौंकते ही हसरत-ए-दीदार का दफ़्तर खुला

कू-ए-जानाँ का समाँ आँखों के आगे फिर गया
सुब्ह-ए-जन्नत का जो अपने सामने मंज़र खुला

रंग बदला फिर हवा का मय-कशों के दिन फिरे
फिर चली बाद-ए-सबा फिर मय-कदे का दर खुला

आ रही है साफ़ बू़-ए-सुंबुल-ए-बाग़-ए-जिनाँ
गेसु-ए-महबूब शायद मेरी मय्यत पर खुला

चार-दीवार-ए-अनासिर फाँद कर पहुँचे कहाँ
आज अपना ज़ोर-ए-वहशत अर्श-ए-आज़म पर खुला

चुप लगी मुझ को गुनाह-ए-इश्क़ साबित हो गया
रंग चेहरे का उड़ा राज़-ए-दिल-ए-मुज़्तर खुला

अश्क-ए-ख़ूँ से ज़र्द चेहरे पर है क्या तुर्फ़ा बहार
देखिए रंग-ए-जुनूँ कैसा मिरे मुँह पर खुला

ख़ंजर-ए-क़ातिल से जन्नत की हवा आने लगी
और बहार-ए-ज़ख़्म से फ़िरदौस का मंज़र खुला

नीम-जाँ छोड़ा तिरी तलवार ने अच्छा किया
एड़ियाँ बिस्मिल ने रगड़ीं सब्र का जौहर खुला

सोहबत-ए-वाइज़ में भी अंगड़ाइयाँ आने लगीं
राज़ अपनी मय-कशी का क्या कहें क्यूँकर खुला

हाथ उलझा है गरेबाँ में तो घबराओ न 'यास'
बेड़ियाँ क्यूँकर कटीं ज़िंदाँ का दर क्यूँकर खुला

  - Yagana Changezi

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yagana Changezi

As you were reading Shayari by Yagana Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Yagana Changezi

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari