jis jahaan mein nafraton ki hastiyaan rah jaaengin | जिस जहाँ में नफ़रतों की हस्तियाँ रह जाएँगीं - Amit Tyagi

jis jahaan mein nafraton ki hastiyaan rah jaaengin
kaise us ujde chaman mein titliyan rah jaaengin

bech kar raatein khareede khwaab jinke vaaste
neend aane de zara bas siskiyaan rah jaaengin

sarhadein be-khauf hain jab tak khade hain ham wahan
ham gaye to tootne ko choodiyan rah jaaengin

har kisi se pyaar karna yaad rakhna ye magar
ruksati ke waqt phaili mutthiyaan rah jaaengin

aaj phir ye shor sannaaton mein gum ho jaayega
aur sadkon par chamakti battiyaan rah jaaengin

jis tarah se bat rahe hain log mazhab mein amit
dekh lena bas ye sooni bastiyaan rah jaaengin

जिस जहाँ में नफ़रतों की हस्तियाँ रह जाएँगीं
कैसे उस उजड़े चमन में तितलियाँ रह जाएँगीं

बेच कर रातें, खरीदे ख़्वाब जिनके वास्ते
नींद आने दे ज़रा बस सिसकियाँ रह जाएँगीं

सरहदें बे-ख़ौफ़ हैं जब तक खड़े हैं हम वहाँ
हम गए तो टूटने को चूड़ियाँ रह जाएँगीं

हर किसी से प्यार करना याद रखना ये मगर
रुख़्सती के वक़्त फैली मुठ्ठियाँ रह जाएँगीं

आज फिर ये शोर सन्नाटों में गुम हो जाएगा
और सड़कों पर चमकती बत्तियाँ रह जाएँगीं

जिस तरह से बट रहे हैं लोग मजहब में 'अमित'
देख लेना बस ये सूनी बस्तियाँ रह जाएँगीं

- Amit Tyagi
2 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amit Tyagi

As you were reading Shayari by Amit Tyagi

Similar Writers

our suggestion based on Amit Tyagi

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari