sukhun var sau jatan karke lab o rukhsaar tak pahunchen
kahaan himmat kisi mein jo tire meyaar tak pahunchen
ghazal kya chahti hai aur fan ke kya taqaze hain
jinhen ye fikr laahaq thi wahi afkaar tak pahunchen
main vaise to bahut khuddaar hoon lekin ye khwaahish hai
ki mere gham ka har qissa mere dildaar tak pahunchen
suna hai ishq mein manzil fana ho kar hi milti hai
so ham teri hi chaahat mein saleeb-o-dar tak pahunchen
hamein tha ishq khaaliq se unhen tha ishq aashiq se
vo apne yaar tak pahunchen ham apne yaar tak pahunchen
muhabbat kaisa rishta hai samajh mein ye nahin aata
na dil inkaar tak pahunchen na dil iqaar tak pahunchen
safar mein hamsafar ka saath paaya to laga aisa
jhulsati dhoop mein ham saaya-e-deewar tak pahunchen
ye halmin ki sada hai aur nusrat ka taqaza hai
zaroori hai ki apna haath ab talwaar tak pahunchen
utha hai ek toofaan aaj phir dariya ae hasti mein
safeena kaise ab is paar se us paar tak pahunchen
qalander faiz paate the hamesha faqa-masti se
jo duniya daar the vo dirham-o-dinaar tak pahunchen
सुख़न वर सौ जतन करके लब ओ रुख़सार तक पहुँचे
कहाँ हिम्मत किसी में जो तिरे मेयार तक पहुँचे
ग़ज़ल क्या चाहती है और फ़न के क्या तक़ाज़े हैं
जिन्हें ये फ़िक्र लाहक़ थी वही अफ़्कार तक पहुँचे
मैं वैसे तो बहुत ख़ुद्दार हूँ लेकिन ये ख़्वाहिश है
कि मेरे ग़म का हर क़िस्सा मिरे दिलदार तक पहुँचे
सुना है इश्क़ में मंज़िल फ़ना हो कर ही मिलती है
सो हम तेरी ही चाहत में सलीब-ओ-दार तक पहुँचे
हमें था इश्क़ ख़ालिक़ से उन्हें था इश्क़ आशिक़ से
वो अपने यार तक पहुँचे हम अपने यार तक पहुँचे
मुहब्बत कैसा रिश्ता है समझ में ये नहीं आता
न दिल इंकार तक पहुँचे न दिल इक़रार तक पहुँचे
सफ़र में हमसफ़र का साथ पाया तो लगा ऐसा
झुलसती धूप में हम साया-ए-दीवार तक पहुँचे
ये हलमिन की सदा है और नुसरत का तक़ाज़ा है
ज़रूरी है कि अपना हाथ अब तलवार तक पहुँचे
उठा है एक तूफ़ाँ आज फिर दरिया ए हस्ती में
सफ़ीना कैसे अब इस पार से उस पार तक पहुँचे
क़लंदर फ़ैज़ पाते थे हमेशा फ़ाक़ा-मस्ती से
जो दुनिया दार थे वो दिरहम-ओ-दिनार तक पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dard Faiz Khan
our suggestion based on Dard Faiz Khan
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari