badal ja tu nahin to rab ka ye paighaam aayega | बदल जा तू नहीं तो रब का ये पैग़ाम आएगा

  - Shayar Danish

badal ja tu nahin to rab ka ye paighaam aayega
tu zalim har jagah se bebason naakaam aayega

hamaare mulk ki barbaadiyon ka zikr jab hoga
sar-e-fahrist ai zalim tera hi naam aayega

na kar mayus inko chaar din ki naukri de kar
hamaare mulk ki sarhad pe inka kaam aayega

abhi bhi waqt hai kuchh kar le achhe kaam tu varna
wazir-e-mulk ki gaddi pe ye awhaam aayega

abhi hindu abhi muslim tu karna chhod de zalim
nahin to ab yahan daanish yun hi kohraam aayega

बदल जा तू नहीं तो रब का ये पैग़ाम आएगा
तू ज़ालिम हर जगह से बेबसों नाकाम आएगा

हमारे मुल्क की बर्बादियों का ज़िक्र जब होगा
सर-ए-फहरिस्त ऐ ज़ालिम तेरा ही नाम आएगा

न कर मायूस इनको चार दिन की नौकरी दे कर
हमारे मुल्क की सरहद पे इनका काम आएगा

अभी भी वक़्त है कुछ कर ले अच्छे काम तू वरना
वज़ीर-ए-मुल्क की गद्दी पे ये औहाम आएगा

अभी हिंदू अभी मुस्लिम तू करना छोड़ दे ज़ालिम
नहीं तो अब यहाँ ''दानिश'' यूँ ही कोहराम आएगा

  - Shayar Danish

Sarhad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Sarhad Shayari Shayari