jab bhi milte hain to jeene ki dua dete hain | जब भी मिलते हैं तो जीने की दुआ देते हैं - Ajay Sahaab

jab bhi milte hain to jeene ki dua dete hain
jaane kis baat ki vo hum ko saza dete hain

haadse jaan to lete hain magar sach ye hai
haadse hi humein jeena bhi sikha dete hain

raat aayi to tadpate hain charaagon ke liye
subh hote hi jinhen log bujha dete hain

hosh mein ho ke bhi saaqi ka bharam rakhne ko
ladkhadaane ki hum afwaah uda dete hain

kyun na laute vo udaasi ka musaafir yaaro
zakham seene ke use roz sada dete hain

जब भी मिलते हैं तो जीने की दुआ देते हैं
जाने किस बात की वो हम को सज़ा देते हैं

हादसे जान तो लेते हैं मगर सच ये है
हादसे ही हमें जीना भी सिखा देते हैं

रात आई तो तड़पते हैं चराग़ों के लिए
सुब्ह होते ही जिन्हें लोग बुझा देते हैं

होश में हो के भी साक़ी का भरम रखने को
लड़खड़ाने की हम अफ़्वाह उड़ा देते हैं

क्यूँ न लौटे वो उदासी का मुसाफ़िर यारो
ज़ख़्म सीने के उसे रोज़ सदा देते हैं

- Ajay Sahaab
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajay Sahaab

As you were reading Shayari by Ajay Sahaab

Similar Writers

our suggestion based on Ajay Sahaab

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari