kabhi to dekhne aao jahaan har baar lagta hai | कभी तो देखने आओ जहाँ हर बार लगता है

  - Ansar Etvii

kabhi to dekhne aao jahaan har baar lagta hai
hamaare gaav mein kaafi bada bazaar lagta hai

ye sab to ghair-mumkin tha ki vo khanjar chalaayega
mujhe to ye bataaya tha ki vo gham-khwaar lagta hai

agar tum dekh lo bahte hue ashkon ko aankhon se
samajh lena wahi hai shakhs jo haqdaar lagta hai

jahaan hamne kisi ki raah se patthar utha fenke
hamaari raah mein vo shakhs hi deewaar lagta hai

khule dushman agar hon to kahi aasaan bhi hoga
munaafiq dost hon jeena bada dushwaar lagta hai

कभी तो देखने आओ जहाँ हर बार लगता है
हमारे गाँव में काफ़ी बड़ा बाज़ार लगता है

ये सब तो ग़ैर-मुमकिन था कि वो ख़ंजर चलाएगा
मुझे तो ये बताया था कि वो ग़म-ख़्वार लगता है

अगर तुम देख लो बहते हुए अश्कों को आँखों से
समझ लेना वही है शख़्स जो हक़दार लगता है

जहाँ हमने किसी की राह से पत्थर उठा फेंके
हमारी राह में वो शख़्स ही दीवार लगता है

खुले दुश्मन अगर हों तो कहीं आसान भी होगा
मुनाफ़िक़ दोस्त हों जीना बड़ा दुश्वार लगता है

  - Ansar Etvii

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ansar Etvii

As you were reading Shayari by Ansar Etvii

Similar Writers

our suggestion based on Ansar Etvii

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari