kuch yun safar ke shauq ne manzar dikhaaye hain | कुछ यूँ सफ़र के शौक़ ने मंज़र दिखाए हैं - Devmani pandey

kuch yun safar ke shauq ne manzar dikhaaye hain
manzil ke paas aa ke qadam ladhkadaaye hain

duniya ke dukh tumhaare sitam doston ke gham
kis kis ko hum bataayein ki kis ke sataaye hain

aaye hain ishq mein kabhi aise maqaam bhi
aankhen theen ashk-baar to lab muskuraaye hain

akshar laga hai sach bhi mera jhooth aap ko
par sach yahi hai main ne bahut zakham khaaye hain

aisa laga ki jaag uthe pattharon mein sar
jab bhi tumhaare hont kabhi gungunaaye hain

कुछ यूँ सफ़र के शौक़ ने मंज़र दिखाए हैं
मंज़िल के पास आ के क़दम लड़खड़ाए हैं

दुनिया के दुख तुम्हारे सितम दोस्तों के ग़म
किस किस को हम बताएँ कि किस के सताए हैं

आए हैं इश्क़ में कभी ऐसे मक़ाम भी
आँखें थीं अश्क-बार तो लब मुस्कुराए हैं

अक्सर लगा है सच भी मिरा झूट आप को
पर सच यही है मैं ने बहुत ज़ख़्म खाए हैं

ऐसा लगा कि जाग उठे पत्थरों में सर
जब भी तुम्हारे होंट कभी गुनगुनाए हैं

- Devmani pandey
0 Likes

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devmani pandey

As you were reading Shayari by Devmani pandey

Similar Writers

our suggestion based on Devmani pandey

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari