mahak kaliyon ki phoolon ki hasi achhi nahin lagti | महक कलियों की फूलों की हँसी अच्छी नहीं लगती - Devmani pandey

mahak kaliyon ki phoolon ki hasi achhi nahin lagti
tumhaare bin humein ye zindagi achhi nahin lagti

bhale mil jaaye daulat aur shohrat hum ko duniya mein
magar dil ko mohabbat ki kami achhi nahin lagti

zara si thes lagne se chhalk padte hain kyun aansu
hamesha aankh mein itni nami achhi nahin lagti

mohabbat ke safar mein rut bhi aati hai judaai ki
humein us waqt koi bhi khushi achhi nahin lagti

kabhi to abr ban kar jhoom kar niklo kahi barso
ki har mausam mein ye sanjeedgi achhi nahin lagti

महक कलियों की फूलों की हँसी अच्छी नहीं लगती
तुम्हारे बिन हमें ये ज़िंदगी अच्छी नहीं लगती

भले मिल जाए दौलत और शोहरत हम को दुनिया में
मगर दिल को मोहब्बत की कमी अच्छी नहीं लगती

ज़रा सी ठेस लगने से छलक पड़ते हैं क्यूँ आँसू
हमेशा आँख में इतनी नमी अच्छी नहीं लगती

मोहब्बत के सफ़र में रुत भी आती है जुदाई की
हमें उस वक़्त कोई भी ख़ुशी अच्छी नहीं लगती

कभी तो अब्र बन कर झूम कर निकलो कहीं बरसो
कि हर मौसम में ये संजीदगी अच्छी नहीं लगती

- Devmani pandey
0 Likes

Faasla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Devmani pandey

As you were reading Shayari by Devmani pandey

Similar Writers

our suggestion based on Devmani pandey

Similar Moods

As you were reading Faasla Shayari Shayari