hamne dekhi hai har ik shay mein khudaai uski | हमने देखी है हर इक शय में ख़ुदाई उसकी

  - Nazar Dwivedi

hamne dekhi hai har ik shay mein khudaai uski
is tasavvur se bhi aage hai rasai uski

zarre zarre mein samaaya hai ujaala uska
dil ki dhadkan mein sada sab ke samaai uski

chaand suraj ye zameen aur sitaare uske
gair mumkin hai zabaan kar de badaai uski

raah usne jo dikhaai vo hai chalni mushkil
log dete hain magar sirf duhaai uski

chahe jisko vo saza de ki muaafi de de
qaid uski hai zamaane mein rihaai uski

aisa lagta hai mere saath chala karta hai
raas aati hi nahin ab to judaai uski

jism mera hi nahin ghar bhi muattar hota
ek lamhe ko nazar yaad jo aayi uski

हमने देखी है हर इक शय में ख़ुदाई उसकी
इस तसव्वुर से भी आगे है रसाई उसकी

ज़र्रे ज़र्रे में समाया है उजाला उसका
दिल की धड़कन में सदा सब के समाई उसकी

चांँद सूरज ये ज़मीं और सितारे उसके
ग़ैर मुमकिन है ज़बांँ कर दे बड़ाई उसकी

राह उसने जो दिखाई वो है चलनी मुश्किल
लोग देते हैं मगर सिर्फ़ दुहाई उसकी

चाहे जिसको वो सज़ा दे कि मुआफ़ी दे दे
क़ैद उसकी है ज़माने में रिहाई उसकी

ऐसा लगता है मेरे साथ चला करता है
रास आती ही नहीं अब तो जुदाई उसकी

जिस्म मेरा ही नहीं घर भी मुअत्तर होता
एक लम्हे को "नज़र" याद जो आई उसकी

  - Nazar Dwivedi

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari