zamaana chahta hai har-ghadi bas nit-nai baatein
naye din aur nayi shaamen nayi subhen nayi raatein
nayi qasmen naye vaade naye rishte naye naate
purane jo bhi qisse the vo ab us ko nahin bhaate
main khud lafzon ki misron ki bahm takraar se jaanaan
bahut ukta gai thi ab
to main ne yun kiya lafzon ko misron ko
lapeta surkh kaaghaz mein
phir un ko man mein raksaan aag dikhla di
hawa mein raakh ke udte hue zarroon ne jab poocha
karegi kya
sunegi kya kahegi kya
tira daaman to khaali hai
kaha main ne
mujhe ab kuchh nahin karna
mujhe ab kuchh nahin sunna mujhe ab kuchh nahin kehna
kahaani odh li main ne
ज़माना चाहता है हर-घड़ी बस नित-नई बातें
नए दिन और नई शामें नई सुब्हें नई रातें
नई क़स्में नए वादे नए रिश्ते नए नाते
पुराने जो भी क़िस्से थे वो अब उस को नहीं भाते
मैं ख़ुद लफ़्ज़ों की मिसरों की बहम तकरार से जानाँ
बहुत उक्ता गई थी अब
तो मैं ने यूँ किया लफ़्ज़ों को मिसरों को
लपेटा सुर्ख़ काग़ज़ में
फिर उन को मन में रक़्साँ आग दिखला दी
हवा में राख के उड़ते हुए ज़र्रों ने जब पूछा
करेगी क्या
सुनेगी क्या कहेगी क्या
तिरा दामन तो ख़ाली है
कहा मैं ने
मुझे अब कुछ नहीं करना
मुझे अब कुछ नहीं सुनना मुझे अब कुछ नहीं कहना
कहानी ओढ़ ली मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhira batool
our suggestion based on Fakhira batool
As you were reading Aanch Shayari Shayari