pyaase ke paas raat samundar pada hua | प्यासे के पास रात समुंदर पड़ा हुआ - Iqbal Sajid

pyaase ke paas raat samundar pada hua
karvat badal raha tha barabar pada hua

baahar se dekhiye to badan hain hare-bhare
lekin lahu ka kaal hai andar pada hua

deewaar to hai raah mein saalim khadi hui
saaya hai darmiyaan se kat kar pada hua

andar thi jitni aag vo thandi na ho saki
paani tha sirf ghaas ke oopar pada hua

haathon pe bah rahi hai lakeeron ki aabjoo
qismat ka khet phir bhi hai banjar pada hua

ye khud bhi aasmaan ki wus'at mein qaid hai
kya dekhta hai chaand ko chat par pada hua

jalta hai roz shaam ko ghaati ke us taraf
din ka charaagh jheel ke andar pada hua

maara kisi ne sang to thokar lagi mujhe
dekha to aasmaan tha zameen par pada hua

प्यासे के पास रात समुंदर पड़ा हुआ
करवट बदल रहा था बराबर पड़ा हुआ

बाहर से देखिए तो बदन हैं हरे-भरे
लेकिन लहू का काल है अंदर पड़ा हुआ

दीवार तो है राह में सालिम खड़ी हुई
साया है दरमियान से कट कर पड़ा हुआ

अंदर थी जितनी आग वो ठंडी न हो सकी
पानी था सिर्फ़ घास के ऊपर पड़ा हुआ

हाथों पे बह रही है लकीरों की आबजू
क़िस्मत का खेत फिर भी है बंजर पड़ा हुआ

ये ख़ुद भी आसमान की वुसअत में क़ैद है
क्या देखता है चाँद को छत पर पड़ा हुआ

जलता है रोज़ शाम को घाटी के उस तरफ़
दिन का चराग़ झील के अंदर पड़ा हुआ

मारा किसी ने संग तो ठोकर लगी मुझे
देखा तो आसमाँ था ज़मीं पर पड़ा हुआ

- Iqbal Sajid
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iqbal Sajid

As you were reading Shayari by Iqbal Sajid

Similar Writers

our suggestion based on Iqbal Sajid

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari